Pages

Friday, 19 April 2013

NAMAZ OR KHULASI

Asalamualaikum ! Warahmathullahi Wabarakathuhu. May Peace and blessings be upon you.
       NAMAZ OR KHULASI
Namaz ek khulasi ki surat hai jesay azan mei b aya hai k ao namaz ki taraf or pao khulasi bas namaz hi ek azadi or khulasi ki surat hai esi lea QURAN mei b bar bar namaz ki babat aya hai bus pehlay dekhna yi chayia k hum kon si kaid mei hain jis se namaz ne humhe azad krna hai bus is kaid mei baray gor o fikar se dekh wo kaid NAFS ki kaid hai kon se nafs ki kaid ? burai or be-heyai wali nafas ki kaid is lea QURAN mei aya hai namaz burai or be-heyai se rokti he إِنَّ الصَّلَاةَ تَنْهَىٰ عَنِ الْفَحْشَاءِ وَالْمُنْكَرِ ۗ وَلَذِكْرُ اللَّهِ أَكْبَرُ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مَا تَصْنَعُونَ  (surat UNKABUT,ayat no.45) Tarjuma Tehkeek nmaz muna krti hai be-heyai se or burai se bus ub dekhny ki bat yi ha k burai or be-heyai keya hai yani zat-e-haq se ghafl hokar nafsani khuwashion  mei mushgool hojana yi sub se zeyada burai or be-heyai ha nake keya hai ? nufs mei khuwashion allah ki marfat hasil karni jesay ak adme se mei bat cheet hui tu aus ne kaha miya ! sub se bare nakee or ibadat apni aulad ki perwarish hai tu meny kaha miya ! esi nake or ibadat ki wris tu murgi b hai ku k wo apni aulad ki bth achay tareeky pur perwarish krti hai bus yi aulad ki perwarish tu har hewan mei pai jati hai or insan ko tu allah ne apni marfat k lea peda kea hai or sub se bari ibadat or naki iski pechan hai bus jab tak nafs ki qaid  se rehai na ho marfat-e-illahi hasil nae hosakti is lea pehli shart azadi nafs hai jis ki awaz “HAZOOR sallal laho alihe walihe waslim” ne di ha ao taraf namaz ki or pao khulasi kis se yani nafs se ku k kaide jb tak azad na ho sheraiyat pur kab chal sakta hai or rehai nafs namaz se sabat hoti hai bus namaz esi honi chayia jis se azadi nafs hasil ho or rooh alim alvi ki taraf safar karay jesay hadess mei aya hai namaz momin ki meraj hai or wo meraj keya hai ?  yani perwaz hai sajeen se alliyen ki taraf safar karma dekho wo rehmat-al-lil-alameen kis shafkat se 5 waqt falah ki taraf bulatay hain wo falah keya hai bedari dil jesay aya hai jesny yad kea nam prewar degar apny ka is ny khulasi pai (SURAT ALA ayat 15,14 ) or bedari dil sewai rat k jagny se nae ho sakti jesay quran mei aya hai rat ka jagna nafs k kuchlnay k lea behtar hai (surat MUZAMMIL ayat 2 ) lekin pehly bedari rat ki samj k wo kon c rat ki bedari hai yi tera taan hi rat hai is taan ki andheri rat mei jag take tera dil bedar hojay or tu khulasi pai jb tu khulasi pai gah tu teray mei wo wasaf peda hoga jis ki allah se tareef ki hai yani hum ne insane ko achi se achi surat pur peda kea (SURAT 3, ayat no.4) turjuma : albata tehkeek peda kea hum ne admi ko beech achi surat k tu jab jawani wasaf chala jay gah or phir insani wasaf peda hoga  tu is taan ko ashraf insane mat samj balky yi taan nashraf insan hai jis ki allah ne tareef ki hai wo insan keya hai yani muhabat bus muhabat hi ala se ala or afzal makhlook hy  jis ki allah nay tareef ki hy lkn mubabat do tarhan ki hy jsy ak ilm jo khud mukhlook say hasil hota hy or ek ilm jo khaliq s hasil hota hy jsy ilm ludni bas isi tarhan muhabat b do tarhan ki hy ek mhabbat khud teri paida krda hy or ak muhabbat khalik ki paida ki hui hy bas jab wo muhabbat jo khaliq ki tarf s tera ma paida hu giwo asl insaniat hy bas jab khaliq ki muhabbat s tobharpoor huga to phr tera opr khulk e azeem ka mukam aye ga jsy quran m ayah y to bara khaleeq hy (surat kalm ayat 4) bs allah k khulk k siwa or khulk kab kamil hy or kammil khulk asal insaniat hy jb muhabbat illahi nafs pr galib ajayetp phr is say mukammal rehai hasil hujate hy or jsy mukoola b hy jo mithai s mar jaye ussy zehr dena ki kia zarorat hy bs jab nafs muhabbat s fanna hu jaye to issa zehr dena ki kia zarorat to bs to b issa zehr dena k bjaye muhabbat ki talwar s qattal kr  or is say khulasi hasil kr dekho huzoor (S.A.W) namaz m kasytakbeer ola prhty thy or kasy piyar s allah o akbr kehty thy or kasy suhabi khaksari me khari rehty thy or kasy apny nafson ko huzoor (S.A.W) k samny fanna krty thy…… “ ALLAH HUM SUB KO NAMAZ PURHNY KI TOFEEK ATA FURMAI (AMEEEENN)……

No comments:

Post a Comment

ads